Kal raat, jab 4-din k taweel arsey k baad, main waqt nikal k
apney waldein se milney ja raha tha to sab se akhir me mujhe traffic jam ka
samna karna para, or aadha kilometer rasta adhey ghaney me tay howa. Ye bilkul
shah Muhammad qabristan k dakhli darwazey ki baat ha, ek jame gafeer jama tha,
bas sar hi sar nazar aatey thay, patharey waloun ka shoor tha or logon ki
bhagdar. Main ne bike ka engine off kardiya, ku k rasta khulney ki koi umeed bar
aati thi na soorat nazar aati thi.
Engine band howa to zehan idhar udhar ki batein sochnay
laga. Un tamam afraad k barey main, jo is ek din k liye hi jaagtey hian or phir
pura saal murr k nahi daikhtey, na hi koi ehtimaam kartey hain apney pyaroun k
esaal e sawaab ka.
Esay main achanak Mehdi Hassan saahb yaad agaye jo isi
qabristaan ki chaar-dewari me kahein abdi neend soo rahey hain. Or mujhe laga k
jesay wo apni ghazal ka wo misra gunguna rahey hon, jo is waqt in tamam logoun
pe saadiq aata ha k ….
“AA PHIR SE MUJHE CHOOR K JANEY K LIYE AA…!”
“AA PHIR SE MUJHE CHOOR K JANEY K LIYE AA…!”
Or main mazeed sochoun main ghir gaya… Raasta to khul hi
gaya par par sochoun ki girah mazeed ulaj gayi
No comments:
Post a Comment