Friday, July 6, 2012

Phir Se Mujhe Choor K Janey K Liye Aa


Kal raat, jab 4-din k taweel arsey k baad, main waqt nikal k apney waldein se milney ja raha tha to sab se akhir me mujhe traffic jam ka samna karna para, or aadha kilometer rasta adhey ghaney me tay howa. Ye bilkul shah Muhammad qabristan k dakhli darwazey ki baat ha, ek jame gafeer jama tha, bas sar hi sar nazar aatey thay, patharey waloun ka shoor tha or logon ki bhagdar. Main ne bike ka engine off kardiya, ku k rasta khulney ki koi umeed bar aati thi na soorat nazar aati thi.
Engine band howa to zehan idhar udhar ki batein sochnay laga. Un tamam afraad k barey main, jo is ek din k liye hi jaagtey hian or phir pura saal murr k nahi daikhtey, na hi koi ehtimaam kartey hain apney pyaroun k esaal e sawaab ka.
Esay main achanak Mehdi Hassan saahb yaad agaye jo isi qabristaan ki chaar-dewari me kahein abdi neend soo rahey hain. Or mujhe laga k jesay wo apni ghazal ka wo misra gunguna rahey hon, jo is waqt in tamam logoun pe saadiq aata ha k ….
“AA PHIR SE MUJHE CHOOR K JANEY K LIYE AA…!”
Or main mazeed sochoun main ghir gaya… Raasta to khul hi gaya par par sochoun ki girah mazeed ulaj gayi

No comments:

Post a Comment